Guide unlock ho gaya. Thanks for following!
Claude Desktop × OpenRouter Setup
Developer Mode on karo aur Third-Party Inference ko OpenRouter key se configure karo.
Tumhara progress0 / 4 done
Pehle jaan lo: OpenRouter pe credits chahiye hote hain. Claude models pay-per-use hain, jitna use karoge utna balance katega.
1
OpenRouter API key banaoopenrouter.ai pe sign in karo aur check karo ki balance me active credits hain.
- Dashboard me Keys pe jao, ya seedha kholo
openrouter.ai/keys - Create Key dabao. Koi pehchanne layak label do, jaise
claude-desktop. Chaho to credit limit bhi laga sakte ho. - Jo secret token mile (
sk-or-v1-...) use copy karke safe jagah rakh lo.
Key password jaisi hai. Screenshot, chat ya reel me mat dikhao. Key ek hi baar poori dikhti hai.
2
Claude Desktop me Developer Mode on karoCustom gateway mode ke liye Anthropic login ki zarurat nahi hai.
- Claude Desktop app kholo.
- Menu me ye option dhundo:
macOSMenu bar me Help → Troubleshooting → Enable Developer Mode
Windows / LinuxMenu (☰) → Help → Troubleshooting → Enable Developer Mode
- App restart karo: Claude Desktop ko poora band karo (
Cmd + Qya tray se Exit) aur dobara kholo. Menu bar me ek naya Developer item dikhega.
3
Third-Party Inference Gateway configure karoDeveloper → Configure Third-Party Inference… kholo aur ye values bharo.
Configuration Mode
GatewayAnthropic-compatible schema
Gateway Base URL
https://openrouter.ai/apiAakhir me / ya /v1 mat lagana
Gateway API Key
sk-or-v1-...Step 1 me banayi hui apni OpenRouter key paste karo
Gateway Auth Scheme
BearerStandard header authorization
Target Model ID
anthropic/claude-3.7-sonnetYa model discovery se select karo. Naya model chahiye to
openrouter.ai/models pe exact ID dekh lo.
4
Test karo, apply karo, session shuru karo
- Test Connection dabao. Isse key aur connectivity verify hoti hai.
- Apply Changes (ya Apply Locally) dabao taaki gateway config save ho jaye.
- Claude Desktop dobara kholo aur launch screen pe Continue with Gateway dabao.
🎉
Setup complete!
Ab Claude Desktop tumhari OpenRouter key se chal raha hai. Reel pasand aayi to share karo.
Next guide ke liye @techbase.ioTroubleshooting & Network Egress
- 401 / 403 error aaye? Check karo ki Base URL me koi extra path nahi hai. Bas
https://openrouter.ai/apihona chahiye. - Sandbox ya coding tool me network block hai? Developer → Configure Third-Party Inference… → Workspace Restrictions me jao aur Allowed Egress Hosts list me ye add karo:
openrouter.ai - Test Connection fail ho raha hai? OpenRouter dashboard me dekho ki key active hai aur balance me credits hain.
